//
you're reading...
Uncategorized

Jama’t Me Har Maah 3 Din Nikalne Ki Daleel

Bismillaahir Rahmaanir Raheem (03-10-2014)

Aitraaz:-
Tableeghi Jama’t se Ta’ssub rakhne waale Umooman Ye aitraaz karte hain ke Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ke zamaane me Har Maah 3 din, 40 din (Chillah) aur 4 Maah (3 Chillah) Jama’t me nikalne ka rivaaj nahi tha. Waha’n Musalmano ki Jamatei’n Kaafiro’n ke paas Ravaana ki jaati thi to phir Kyon Ye naya Tareeqah aijaad kar liya gaya.?

Jawaab:-
AMR BIL-MA’ROOF, NAHI ANIL MUNKAR (Bhalaayi Ka Hukm Dena, Buraayi Se Rokna) Ye Ummat-e-Muslimah ka FAREEZAH hai. Is Fareezah ki adaaigi ki Jo bhi MUBAAH soorat hogi Usko Ghalat nahi kaha ja sakta.

Isha’t Ilm-e-Deen ke liye Madaaris ka maujoodah Tareeqah, Asbaaq ki Taqseem, Ghanto ki Paabandi, Imtihaanaat wagherah Bohat zaroori baawar kiye jaate hain. Kya Ilm-e-Deen ki Nashr ka Ye Tareeqah Daur-e-Risaalat me tha.?

Hargiz nahi. Chounke Ye Nashr Ilm-e-Deen ki Mubaah soorat hai isliye Ye Jaayez hai.

Lekin Asal me Ye kehna hi durust nahi ke Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ke Zamaane me Musalmaano ke paas Jamatei’n nahi bheji jaati thi’n… Bohat se waqeat se ma’loom hota hai ke Aap (sallallaahu alaihi wa sallam) ne Musalman Jo Deen se Na-Waaqif the Unki Ta’leem wa Islaah ke liye Sahaaba (raziallahu ta’ala anhum) ki Jamato’n ko ravaana farmaaya tha.

Daleel:
“Azal, Waqaarah Jo ke Jadeela ke do Qabeele hain ke Chand Log Jung-e-Uhad ke ba’d Nabi (sallallaahu alaihi wa sallam) ke paas aaye aur kaha ke Hamaare Yaha’n Log Islaam la chuke hain, Aap apne chand Saathiyo’n ko Humei’n Qur’an aur Deen-e-Islam sikhaane bhej dei’n. Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) Mursad bin Abi Mursad (raziallahu ta’ala anhu) ki Qiyaadat me 6 Nifr ki Jama’t ravaana farmaayi…….” [Mustadrak Lil Haakim, Raqam# 5032]

5032 – ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺃﺑﻮ ﺍﻟﻌﺒﺎﺱ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻳﻌﻘﻮﺏ ، ﺛﻨﺎ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﺠﺒﺎﺭ ، ﺛﻨﺎ ﻳﻮﻧﺲ ﺑﻦ ﺑﻜﻴﺮ ، ﻋﻦ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺇﺳﺤﺎﻕ ، ﺣﺪﺛﻨﻲ ﻋﺎﺻﻢ ﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﺑﻦ ﻗﺘﺎﺩﺓ ، ﺃﻥ ﻧﺎﺳﺎ ﻣﻦ ﻋﻀﻞ ﻭﺍﻟﻘﺎﺭﺓ ، ﻭﻫﻤﺎ ﺣﻴﺎﻥ ﻣﻦ ﺟﺪﻳﻠﺔ ﺃﺗﻮﺍ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﺑﻌﺪ ﺃﺣﺪ ، ﻓﻘﺎﻟﻮﺍ : ﺇﻥ ﺑﺄﺭﺿﻨﺎ ﺇﺳﻼﻣﺎ ، ﻓﺎﺑﻌﺚ ﻣﻌﻨﺎ ﻧﻔﺮﺍ ﻣﻦ ﺃﺻﺤﺎﺑﻚ ﻳﻘﺮﺋﻮﻧﻨﺎ ﺍﻟﻘﺮﺁﻥ ﻭﻳﻔﻘﻬﻮﻧﻨﺎ ﻓﻲ ﺍﻹﺳﻼﻡ ، ” ﻓﺒﻌﺚ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻣﻌﻬﻢ ﺳﺘﺔ ﻧﻔﺮ ﻣﻨﻬﻢ : ﻣﺮﺛﺪ ﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﻣﺮﺛﺪ ﺣﻠﻴﻒ ﺣﻤﺰﺓ ﺑﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻤﻄﻠﺐ ﻭﻫﻮ ﺃﻣﻴﺮﻫﻢ

Is tarah ke bohat se waqeat Kutab Ahaadees me maujood hain. Lihaaza isko Naya Kaam baawar karaana mehaz Dhoka wa Fareib ke siva kuch nahi.

Jama’t me Chillah wa Chaar Maheene lagaane ki Asal ke liye Ye article zaroor parhei’n.

Click:- https://tahaffuzeahlesunnatpune.wordpress.com/2014/11/03/jamat-me-chillah-40-days-lagaane-ki-asliyat-quran-wa-hadees-se-2/

Rahi baat Har Maah 3 din lagaane ki to Ye koi Be-Asal cheez nahi hai balke Ye Hamaare Akaabireen ki aala Fuqaahat ka saboot hai.

Hamaare Akaabireen ne socha ke Aadmi ko apne Ahl-o-Ayaal ka khiyaal bhi rakhna hai, Karobaar bhi dekhna hai, lihaaza aisi koi soorat nikaali jaaye jis se wo Saari Zindagi Allah ki Raah me Deen seekhne aur sikhaane ka Sawaab haasil kar sakei’n…

Pas Unhei’n Allah Ta’ala ka Ye Farmaan mil gaya: “Aur Jo koi (Allah ke Huzoor) Neiki le kar aayega Usko waisi 10 Neikiya’n milengi aur Jo Buraayi laayega usey Saza waise hi milegiaur un per Zulm nahi kiya jaayega.” [Surah An’aam: 160]

Ya’ni ke agar koi 3 din ke liye Jama’t me nikalta hai to Us ko is ka 10 guna Zyadah Ajr-O-Sawaab milta hai.

3 din × 10 = 30 din ka Ajr-O-Sawaab. (Alhamdulillah)

Is tarah se agar koi Saal ke har maheene me 3 din nikalta hai to goya usne poore Saal bhar Allah ki raah me nikalne ka Ajr-O-Sawaab kamaa liya.

Isi tarah Ahaadees se bhi Ye baat saabit hai.

Maslan: Shab-e-Me’raaj ko 50 Namaazei’n Rasoolullah (sallallaahu alaihi wa sallam) ko Tohfe me mili phir Isme kami ho kar akheer me 5 Namaazei’n FARZ baaqi rahi’n magar inka Ajr-O-Sawaab ×10 guna Zyadah Ya’ni poore 50 Namaazo’n ka milta hai…

Isi tarah agar Koi Shakhs Ramazan ke 30 aur Shawwal ke 6 Rozey rakhta hai to goya usne poore Saal bhar ke Rozey rakhe hain…

Dr. Zakir Naik Jaise logo’n ko Ye sab Isliye nazar nahi aata ke Unke Dilo’n me Ta’sub ki Beemaari hai aur Qur’an wa Ahaadees me Qillat-e-Nazar. Sahab ko doosro’n ke amal ki Daleel ki fikr to hai magar Khud ke Da’wah Programs ke liye Jo din muqarrar karte hain Uski Daleel kaha’n se laayenge..?

Allah Ta’ala se dua hai ke Humei’n DEEN ki SAHIH Samajh ata kare. (Aameen)

Min-Jaanib: Sameer Mughal

About Tahaffuz E Ahle Sunnat Wal Jamaat

The Scholars of Truth , The Scholars of Darul- Uloom Deoband.

Discussion

No comments yet.

Leave a comment