//
you're reading...
Ahle Hadees exposed

((Azaan-e-Usmani (Raziallahu Anhu))

Jam’hoor Musalmano ke khilaf aur Shia’ Rawafiz ke muwafaq Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ke nazdeek Juma’h ki Azaan-e-
Awwal (Pehli Azaan) Jisko Hazrat Usman-e-Ghani (Raziallahu ta’la anhu) ne Jaari kiya tha BID’AT
Hai..
….
Hazrat Saa’ib bin Yazeed (Raziallahu anhu) Farmate Hain Ke Rasoolullah (Sallallahu alaihi wa Sallam) Aur Hazrat Abu Bakar Wa Umar (Raziallahu ta’la anhuma) ke Zamane me Juma’h
ki Azaan us Waqt Hoti Thi Jab Imam Minbar Per Baith Jata Tha Phir Jab Hazrat Usman (Raziallahu anhu) Ka Daur-e-Khilafataaya Aur LOG ZYADAH
HO GAYE To Hazrat Usman (Raziallahu anhu) Ne TEESRI
AZAAN (Ya’ni Juma’h Ki Pehli Azaan) Ka Hukm Diya.. Chunanchah Zoraa’ Per Wo Azaan Kahi Gayi Aur YE TAREEQAH QAAYEM Ho Gaya. [Sahih Al-Bukhari, Jild: 1, Page: 125]
Scne Page

image

Tamam Sahaba-e Kiraam (Raziallahu ta’la anhum) Jo Hazrat Usman (Raziallahu anhu) Ke Daur Me Ba-Hayaat The, Taaba’een Wa Deegar A’imma-e-
Mujtahideen (Rahmatullahi alaihim) Ne Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ke is
Irshaad Ki Pairvi Karte Hue Hazrat Usman (Raziallahu Anhu) Ki Muwafaqat Farmayi Hai…
..
Chunanchah Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ka irshaad Hai:”…..Tum Per Laazim Hai Ke Meri Sunnat Aur Mere Khulafa-e-Raashideen (Raziallahu anhum) Ki Sunnat Ko ikhtiyar Karo….”[Sunan Ibn-e-Majah]
..
Is Hadees Se Ma’loom Hua Ke. Khulfa-e-Rashideen (Raziallahu Anhum) Ka Tareeqah Bhi SUNNAT
Hai…
..
Phir Doosri Baat Ye Bhi Muslim Hai Ke, Ummat- e Muhammadiyah Kabhi Kisi Gumraahi Per Ittifaaq Kar Ke Jama’ Nahi Ho Sakti..
Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ka Farmaan Hai: “Meri Ummat Gumrahi Per Jama’
Nahi Ho Sakti.” [Sunan Ibn-e-Majah]
..
Pas Ijma’-e-Sahaba Aur Ijma’-e-Ummat Bohat Badi Mazboot DALEEL-E-SHARA’I Hai. Isliye Ijma’
ki Mukhalifat HARAAM Hai Aur Iski Mukhalifat Par Qur’an-e-Kareem me Dunya Me GUMRAAHI Aur AAKHIRAT Me DOZAKH Ki Wa’eed Hai…
..
ALLAH Ta’la Ka irshaad Hai: “Jo Koi Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ki Mukhalifat Karega
Aur Mu’mineen Ka Raasta Chhor Kar Doosre Raaste Par Chalega Hum Us Par Wahi Gumraahi
Musallat Kar Denge..Us Ne Jis Gumrahi Ko Ikhtiyar Kiya..Aur (Akhirat me) Usko Jahannam
Me Daakhil Karenge Jo Bura Thikanah Hai.” [Surah An-Nisaa’: 115]
..
Lihaaza Sadiyo’n Se Ummat-e-Muhammadiyah Me Jaari is Amal Ki Mukhalifat Yaqeenan Gumrahi
Aur Khulfa-e-Rashideen (Raziallahu Anhum) Ki Sunnat Ki Mukhalifat Ke Zamray Me Aayegi.
Ek Hai Khula Raafzi (Ya’ni Shia’) Aur Doosra hai.Chhupa Raafzi (Ya’ni Firqah Ahl-e-Hadees).
Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ki Ittiba’ Ki Aad Me (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees, Hazrat Usman-e-Ghani (Raziallahu anhu) Ki Jaari Kardah
is SUNNAT Ko BID’AT Qaraar Dene Per Tulay Hue Hain..
..
Jab Ke Jam’hoor Ummat Usman (Raziallahu anhu) Ke Jaari Kardah is Amal Ki Pairvi Karti Hai..
..
==¤¤== ..











Tarjumane Gair Muqallid Hafiz..











Jalaluddin Sahab Ne Bhi











[[Ahsanul Jidal Safah 88 ]]











..











Par Azaane Usmani Ki Behas Chedi Aur Iski Biddat Saabit Krne K Liye Aedi Choti Ka Zor Laga











Diya..Aur Iske Liye Inhone Khayanat Aur Baddiyanati











Ka Jo Muzahira Kiya Wo Inhi ka Haq Hai…Sabse Pehle Inhone Bukhari Ki Ye Riwayat Zikr











Ki :Hazrat Saib Bin Yazeed Rz Kehte Hai Ki Pehle Azaan e Jumma K Din Imam Mimbar Par Baithte Waqt Hoti Thi..











Rasoolullah Sallahu Alaihiwasallam Aur Hazrat Abu











Bakkar Rz Aur Hazrat Umar Rz ke Zamane Me Bhi..Fir Hazrat Usman Rz Ka Daure Khilafat Aaya Aur Log Zyada Hogaye To Hazrat Usman Rz Ne Jumma Ke Din Teesree Azaan Ka Hukum Diya











Bas Wo Azaan Zaoura’a K Mukaam Par Di Gayi Aur Ye Mu’amla Muqarrar Hogaya..











Es k Bad Sharah Bukhari Alama Aini o Asqalani R.h k Hawaly Se Likhty Hain: Musanif Abdur











Raziq Main Ibn e Jareh Sy Riwayat LIYA Hai Ky Suleman Bin Mosa Ne Kaha k Madina Main Jisny Sab Se Pahly Azan Ziyadah ki Wo Hazrat Usman R.z The…Hazrat Ata R.h Ne Kaha Wo Azan Har Giz Na Thi Wo To Ek Bulawa Aur Elan Tha Azan To Ek Hi Hoti Thi Aur Hasan Basri kahty Hain k Azan To Pahli Hai Jo Imam k Nikalty Waqt Di Jati Hai Jo Essy Pahly Di Jati hai wo biddat hai,issi Tarah Abdullah Bin Umar R.z NE Apni Ek Riwayat Main Kaha Hai K Jummah k Din Pahli Azan Biddat Hai.Es k Bad Mazed Likhty Hain K Hazrat Usman R.z











Ny Apni Pori Hukumat Main Nahi Bal ke Sirf Madina Main Logon Ki Kasrat ki Waja Sy Azan Shoro Krwai Thi Aur Ye Azan Na Thi Elan Tha Jo Masjid k Bahir Muqam e Zora’a Par Hota tha.Ap











K 80 Sal Bad Hassham Bin Abdul Malik Ny Esko Masjid k Andr Lana Shuro krdya.Rahmani Sahib











btay k Azan E Usman ko biddat kisny kaha? Ek Sahabi Abdullah Bin Umar R.z ny Aur ek











Tabie Hassan Basri R.h Ny











Scne Page










image

>>IZHAR E HAQEQAT Or Jawab
..
GAIR MUQALLID Sahib Ny Apni Adat k Mutabiq Umdatul Qadri Aur Fathul Bari Ki Sirf Wo
Ibarteyn Naqal Ki Hain Jo Un k Mazoma Maqsad k Muwafiq Thi
..
Chanancha Hafiz Ibn E Hajar Asqalani Es Pr Tafseli Kalam krty Howy Likhty Hain Ibn E Umar R.z Sy Jo Marwi Hai k Azan Awal
Biddat Hai To Mumkin Hai k Ye Qol Ali Sabel ul Inkar ho ( INKAR KE LIYE NA Hai) Aur Ye Bhi
Ihtimal Rakhta Hai k Hazrat Ibn E Umar r.z ki Murad Essy Ye Ho ke Ye Rasol ul ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam k Zamany Main Na Thi Aur Har Wo Chez Jo Rasool
Akram Sallallahu Alaihi Wasallam K Zamany Main Na Ho Usko Biddat Kaha Jata Hai Lekin es Main Sy Ba’az Achi Bhi HUWA Krti Hain Ba’az Es k khilaf Bhi Aur Guzishta Sator Sy ye Wazeha Hai K Hazrat Usman Ra Ny ye Izafa Logon Ko Ye Batlany k Lye Kiya Tha k Jummah Ki Namaz Ka Waqt Hogeya Hai Baqiya Tamam Namazon Par Qeyas Krty Howy”
..
GAIR MUQALLID Sahib Dalail o Shawahid Sy Pahly Aap Ye Sabit Kryn K Hazrat Ibn E Umar R.z
Aur Hassan Basri Ki Murad Biddat Sy Biddat Sharie Hai Jab k Pury Sahaba Rizwanullah o
Ajmaen Aur Tabeen Main Sy Sirf Ibn e Umar R.z Aur Hassan Basri R.h Sy Ye muhtamil jumla Manqol Hai..Kisi Muhtamil Aur Mujammil Qaol Sy Ijma e Sahaba Aur Tabeen Sy Sabit Shuda Amal
Ko Biddat Qrar Dyna Konsi Danishmandi Aur Aqalmandi Hai?
..
Aur Aap Ka Ye Likhna k Hazrat Usman R.A Ny Apni Puri Hakumat Main Nhi Sirf Madina Main Shuro Krai Thi Mabni Bar Jahalat Hai..
..
OR YE ANDHA PAN OR SHIA KI ANDHI TAQLID..Bukhari Ki Riwayat Main Sarahat Hai ﻓﺘﻴﺖ
ﺍﻻﻣﺮ ﻛﺬﺍﻟﻚ
Aur Ye Mamla Muqarrar Hogeya
..
OR YE CHALA AA RAHA HAI KABI KISI NE V MUKHALAFAT NA KI
..
Yani es Pr Musalmanon Ka Amal Raha Hai es ibarat Ki Sharah Krty Howy Alama Ibn E Hajar Asqalani Likhty Hain..
.
“Aur Tamam Shahron Main Logon Ny Hazrat Usman R.A k es Fail Ko ikhtiyar kar Liya”
.
Aaisa k Aaj Kal Tamam Shahron Main Salf o Khalf Ki Itba Main Esi Par Amal Hai.
.
Sharhen Bukhari Alama Ibn e Hajar R.h Aur Alama Aini R.h Ki Ibarat Sy Bilkul Wazeha Hai k
Hazrat Usman R.A Ny Jo Madina Azan Main Izafa kia Tha Is Par Tamam Shahron Mein Bila Kisi Naker k Amal Hony Laga,Agr Ye Amal Biddat ya Shariyat
k Khilaf Hota To Sahaba Ikram Aur Tabeen Uzzam Zror es Par Naker Krty…
..
Chunancha Alama Aini R.h Likhty Hain
.
“Jab Dur dur Tak Ghar Abad Hogay Aur Logon Ki Tadad
Main izafa Ho Geya To Hazrat Usman R.z Ny Tesri Azan Ka Hukam Deya To es Par Kisi Ny Naker Nhi Kia Albatta Jab Hazrat Usman R.z Ny Mina Main
Namaz E Qasr Krny Ki Bajay Atmam Kia To es Par Naker Ki Gi
..
Naiz Alama Aini Likhty Hain
(Jummah ki Azan Awal) wujod k itbar Sy Wo Pahli Hai Aur Hazrat Usman R.z k ijtihad Aur Tmam
Sahaba Ikarm R.z k Sakot Aur Muwafqat Ki Waja Sy Aur Apni Mashroeyat k itbar Sy Tesri Hai..Aur Sahaba ikram ka inkar Na Karna Ye ijma E Sakoti Hai
[[Fatahul baar jild6 ]]

Scne page

image

[[Umdatul Qaari Sahi Sharah bubkhari jild 6 ]]
Scne Page

image

AB GAIR MUQALLID KE PAS KUCH JAWAB NHI HOPATA HAI TO WO SAWAL THOK DETE HAI KE HAZRAT USMAN RZ KE ZAMANE ME TO MASJID KE BAHAR AZAN DI GAI THI TUM LOG ANDAR
DETE HO TO USKA JAWAB SAF LAFZO ME YE HAI PAHLE MASJID KI TADAD KAM OR AISA KOI
TARIQA NA THA JISSE LOGO KO PATA CHAL SAKE KE JUMA KA WAQT SHURU HO GAYA AB KAM
KAAZ BAN KARO AB MASJID V ZIYADA OR MAAIK WAGIRAH KA BHI INTEZAM HO GAYA TO MASJID
SE BAHAR JANE KI KYA ZARURAT JAB KE JO KAM BAHAR SE HO RAHA THA WO ANDAR SE HO JA
RAHA HAI OR DUSRI BAT Or Humara Sawal v Aaj Jo Mike Se Tum Log Azan Dete Ho Wo Kya Nabi Sallallahu Alahi Wasallam Ke Zamane Me The ? ? ? ?
..
To Bidat Ye v Q Kya Jawab Hai Tmhare Pas Or Sab Se Mazbut Dalil Puri Ummat Ka ijma Ho Gaya Hai Ke Azan Masjid Ke Andar Hi Se Di Jati Hai Kisi Ne
Mukhalfat Na Ki
..
Ab Zara Bidat Ke Jani Dushman Ka v Qaul Dekh Lo Jo Shia Hazraat Ko Diya Gaya Hai
..
Chunanchah Allamah Ibne Taimiyah (Rahmatullahi alaih) Farmate Hain: “Hazrat
Usman (Raziallahu anhu) Ne Jo Pehli Azaan ka Amal ikhtiyar Kiya, Logo’n Ne Ba’d Me is Per
Ittifaaq Kar Liya Aur Charo Mazaaheb (Ya’ni Hanafi, Shafa’i, Hanbali Aur Maliki) Ne isey
ikhtiyar Kiya Gaya Jaisa Ke (Taraaveeh Me) Ek Imam Per Logo’n Ko Jama’ Karne Ke Silsilay Me Hazrat Umar (Raziallahu anhu) Ke Jaari Kardah Tareeqah Per Ittifaq Kiya Hai.”
Isko BID’AT Kehne Waale Shia’ Raafziyo’n Se Khitaab Karte Hue Kehte Hain: “Ye Aap Kis Bina’
Per Keh Rahe Hain Ke Hazrat Usman (Raziallahu anhu) Ne
Baghair Kisi Shara’i Daleel Se Ye Amal Anjaam Diya.?
..
Mazeid Farmaate Hain: “Ye is Baat Ki Daleel Hai Ke
Logo’n Ne iske Istehbaab Per Hazrat Usman (Raziallahu
anhu) Ke Sath Ittifaaq Kiya Hatta Ke Hazrat Ali (Raziallahu anhu) Ke Sathiyo’n Ne Bhi inki
Muwafaqat Farmayi Hai Jaise Ammar..Suhail bin Haneef (Raziallahu anhum) Aur Saabiqeen Wa Awwaleen Se Ta’lluq Rakhne Waale Doosre Baday Sahaba (Raziallahu anhum), Agar Ye iska Inkaar
Kar Dete To Koi Inki Mukhalifat Na karta.”
[Minhajus Sunnah An-Nabawiyah Jild: 3, Page:204]
..
Ek Aur Jagah Farmaya: “Ye Azaan Hazrat Usman (Raziallahu anhu) Ki Jaari Kardah Hai Aur Musalmano Ne is Per Ittifaq Kiya Hai isliye Azaan Shara’i kaha Jaayega.”
[Minhajus Sunnah Jild: 4, Page: 193]
..
Minhajus Sunnah Scne Page:

image

..

image

..

image

..

image

Note: (Minhajus Sunnah An-Nabawiyah) Wo Kitab Hai Jo Allamah Ibne Taimiyah (Rahimahullah) Ne Shia’ Raafziyo’n Ke Ahle Sunnat Wal Jama’t Per Aitrazat ke Jawabat Me Likhi Hai..
..
Pas Ma’loom Hua Ke..Firqah Ahl-e-Hadees Shia’ Raafziyo’n Ki Andhi Taqleed Me is Azaan-e-
Usmani Ko Shara’i Bid’at Sabit Karna Chaahte Hain…
..
Jab Ke Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Azaan Sirf Lughatan Bid’at Hai Aur Khaleefa-e-Raashid (Raziallahu anhu) Ki Jaari kardah Sunnat hai..
..
GAIRMUQALLID Sahib Jin Dono Kitabon Ki Bina Par Azan E Usman Ko Biddat Qrar Dyny k Darpy Thy enhi Kitabon Sy eski Mashroeyat Aur Zarort Ko
Mulahiza Frmayn Aur Khud Hi Faisla Kryn k en Tamam Ebarton Ko Apny Zikr Kyu Nahi Kia Hai?
.
Aur Azan E Usman Par Tabsara Karny Sy Pahly
######
Apny Sheikh Uncle fil Uncle Ki Fatawa Nazreya Ka Ye Fatwa Zaror Mulahiza Karna Tha.
..
Sawal: jummah k Roz Azan E Salis Jayz Hai Ya Nahi ?
..
Jawab: Jayz Hai (fatawa Nazreya Jild 1) Aur esi Fatwa k jild 1 Aur Safah Number 575 ]]
..
Par Ye Abarat Hai..
Yani Jab Hazrat Usman Ka Dor E khilafat Aaya Aur Logon Ki kasrat Hovi To Hazrat Usman Ny Azan E
Salis Ka Hukam Diya Chunancha Muqam Zora Par Ye Azan Di Gai Aur Us k Bad Musalmanon Ka esi Par Amal Raha Hai Ye To Hai Ulama E Ghair Muqaliden ka Ftawa Aur Azan E Salis ka itraf,Khat Kusheda Arbi Abarat Ka
Jumla Wo Dekheye Ye Khud Bol Rhi Hai k Hazrat Usman R.z k Dor Sy Musalmanon Ka es Par Amal
Raha Hai Magar Ghair Muqaliden Ka Amal Ye Hai k
Wo ijma e Ummat k Khilaf es Par Amal Nhi Krty Aur enki Masajid Main jummah k Roz Sirf Ek
Azan Aur Us k Bad Namaz k Lye Aqamat Hoti Hai..Hazrat Usman R.z Ka Ye Amal Sary Sahaba Aur
Duniya k Sary Musalmanon ko Pasnd Aaya..Sirf Nomolod Aur firqa Sahaza Ghair Muqaliden
Ko Pasnd Na Aaya Kyu k Ye Log Sahaba R.z k Dushman Hain enko Sahaba Ikram R.z k Amal Sy
Chir Hai es Firqa Main Rafzeyat Ka Kafi Ansar Hai
..
es Ka Shumar Ahle Sunnat Wal Jammat Main Nahi Bal k Dushmanan E Sahaba Ki jammat Main Hona Chaheye..ALLAH Tala Tamam Musalmanon Ko Sirat e
Mustaqem Ki Hidayat De…
..
Aameen Summa Aameen
..
Post>>Mujahid islam Bhai,

About Tahaffuz E Ahle Sunnat Wal Jamaat

The Scholars of Truth , The Scholars of Darul- Uloom Deoband.

Discussion

No comments yet.

Leave a comment