//
you're reading...
Uncategorized

Imam Ke Peeche Surah Fatiha Parhna Aur Shaykh Abdul Qadir Jeelani (Rah.) Ke Fatwe Ki Haqeeqat

Bismillahir Rahmaanir Raheem
..
Imam ke peeche Muqtadi Surah Fatiha Parhe Ya Na Parhe Ye Iqtilafi Masla’h hai Jisme Sadiyo’n se Ulema’ ke darmyan Iqtilaf chala aa raha hai. Aur Firqa (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ka da’wa hai ke Muqtadi ko bhi Imam ke peeche Qira’t Ya’ni Surah Fatiha parhni chahiye aur Jo Nahi parhta Uski Namaz BAATIL hai.
..
Apne Is da’we ko sabit Karne ke liye Ghair-Muqallid ke Buzrug Ulema’ ne Kayi tarah se FAREIB dene ki Koshish ki hai aur Unme se Ek Fareib Shaykh Abdul Qadir Jeelani (rah.) ke Fatwa ka Ghalat Matlab nikaal kar Peish karna hai.
..
Chounke Peeran-e-Peer Shaykh Abdul Qadir Jeelani Al-Hanbali (rah.) Ahnaf ke nazdeek MU’TABAR Shaqsiyat me se hain Isliye Inki Ibarat se Aam Na-Waqif Logo ko Dhoka dene ki Koshish ki gayi hai.
..
Chunanchah Ghair-Muqallid Hakeem Sadiq Siyalkoti Sahab likhte hain:
//IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE BAARE ME AAPKI ZABAN ALLAH KE RASOOL (SAW) KI TARAH TARJUMANI KARTI HAI
..
IRSHAD HOTA HAI: “SURAH FATIHA PADHNA FARZ HAI AUR YE SURAH NAMAAZ KI BUNIYAD HAI, ISKE NA PADHNE SE NAMAAZ NAAKHIS HO JAATI HAI”
..
BHAIYON! BATAO ISSE BADKAR AUR ITMINAN KI SURAT AAP KE LIYE AUR KYA HO SAKTI HAI KI HZ . PEERANE PEER NE( ALLAH KI LAAKHON RAHMATEIN HO) HUZOOR (SAW) KI HADITHON KI TASDEEQ WA TAYID ME KAISA FAISLA KIYA HAI AUR SAAF KAR DIYA HAI KI SURAH FATIHA KE CHHOD DENE SE NAMAAZ NAHI HOTI// [Salatur Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) – Surah Fatiha Parhne ka Maslah]
..
Scan mulaahizah farmayein..
image

ASAL HAQEEQAT:
Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jeelani (rah.) yahan per Muqtadi ke Masa’il Nahi bayan kar rahe the balke MUTLAQ NAMAZ me Surah Fatiha ka Darjah Kya hai Usko Bayan kar rahe the ke Ye FARZ hai Jiske Chhorne se Namaz BAATIL ho Jati hai.
..
Phir farmaya: Surah Fatiha ke ba’d Quran-e-Majeed ka Jo Hissah Ba-Aasaani parh sakta ho wo Parhe.
..
Aur Phir Muqtadi ka Maslah bayan karte hue likhte hain: “Agar Wo (Ya’ni Namaz parhne wala) MUQTADI hai to Imam ke peeche Khamosh reh kar QIRA’T suney, Usey Samjhe, Naseehat haasil kare…..” [Ghunyatut Talibeen Mutarjam Ghair-Muqallid Mubashar Hussain Page 530]
..
Scan mulaahizah farmayein…..
image

Muqtadi ke baare me Is wazeh Hukm ko Apni KHIYANAT me Chupaate hue Ghair-Muqallid (Naam Nihaad) Ahle Hadees ke Is Buzrug Aalim ne Ek Ghair-Muta’lliq Ibarat ko MUQTADI se Jod kar Shaykh Abdul Qadir Jeelani (rah.) per BAD-TAREEN Jhoot baandha hai.
..
Shaykh Abdul Qadir Jeelani (rah.), Imam Ahmed (rah.) ke Muqallid hain Jaisa ke Khud Unhone hi Apni Is Kitab me Waazeh kar diya hai. [Ghunyatut Talibeen Mutarjam Ghair-Muqallid Mubashar Hussain Page 539]
..
Aur Imam Ahmed (rah.) ka Mazhab hai ke, Imam wa Munfarid (Akele) ke liye Namaz me Surah Fatiha parhna FARZ hai aur iske chhorne se Namaz BATIL hoti hai aur JEHRI Namazo me Muqtadi ko Imam ke peeche Qira’t nahi karni chahiye. Abdul Qadir Jeelani (rah.) bhi Yehi Kuch bayan kar rahe hain Jisko Ghair-Muqallideen ne Ek Ghalat Roop de diya hai.
..
Shaykh Abdul Qadir Jeelani (rah.) Apne Maslak per Daleel bhi laate hain, Chunanchah likhte hain: “Hamare Imam Abu Abdullah, Ahmed (rah.) ne apne Ek Risaalah me Apni Sanad ke sath Abu Moosa Ash’ari (raz.) se rivayat laayi hai wo farmate hain: “………… Jab Imam Takbeer kahe to phir Takbeer kaho, Jab wo Qira’t kare to Tum (Ya’ni Muqtadi) Khamosh raho aur wo GHAIRIL MAGHZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAALLEEN kahe to Tum Ameen kaho………” [Ghunyatut Talibeen Mutarjam Ghair-Muqallid Mubashar Hussain Page 538, 539]
..
Is rivayat se ma’loom hua ke Surah Fatiha bhi Qira’t hai aur Fatiha Parhe jaane per Muqtadi ko Khamosh rehna chahiye. Aur Ye Hadees [Sahih Muslim] me bhi maujood hai lihaaza Iske SAHIH hone me Koi Shakk baaqi nahi raha.
..
Qaraeen-e-Kiraam.! Ye rahi Shaykh (rah.) ke Fatwe ki Asal Haqeeqat. Ab Ap Khud Sonchein ke Firqa Ahl-e-Hadees Kyon Itni Teizi se Phail raha hai…?
..
Allah Ta’la se dua hai ke wo Humein Sahih baat ko samajhne ki Taufeeq de aur Firqa AHl-e-Hadees ki Fareibkaari wa Makkariyo se hamari Hifazat farmaaye. Aameen.
..
Min-Jaanib: Sameer Mughal

About Tahaffuz E Ahle Sunnat Wal Jamaat

The Scholars of Truth , The Scholars of Darul- Uloom Deoband.

Discussion

No comments yet.

Leave a comment